7 Best Motivational Books in Hindi | जो आपकी जिंदगी बदल सकती है

Best Motivational Books in Hindi | Humne bahut bar logo se kahte hua suna hai ki achi book padhiye, Motivationals book padhiye, Yah aapki life change kar sakte hai, Ji ha dosto yah bat puri tarh se such hai agar hum achi books padhte hai aur un books me likhe baato ko apne jeevan me follow karte hai to definitely humari life dhire dhire badalne lagti hai.

Achi book aapke vicharo, sochne ki tariko aur aapke jeevan ko badal sakti hai. Agar aap apni vartman sthiti ko change karna chahte hai aur aapko motivational ki jarurt hai to aapko achi books ko jarur padhna chahiye.

Best Motivational Books in Hindi

Kaun si book padhe? Dosto aaj is post me mein aapke saath 7 best motivational books in hindi be bare me share kar raha hoon, Jo aapko jarur padhna chahiye. In sabhi books ko har insan ko apne jeevan me jarur padhana chahiye. Ye books aapme aisa junoon paida kar dengi ki aap sochoge ki hum kuch bhi kar sakte hai aur aap apne lakshya ko asani se prapt kar paoge. Ye books aapki vartman sthiti ko aur bhi behtar banane me madad karegi.

Aap in books ko thoda time nikal ke jarur padhe, Wese bhi hum sabhi apna kitna samay social site me bitate hai jiska koi khas benefits nahi hota hai, But agar hum us samay ko in book ko padhne me use karenge to jarur hume in book se fayda milega.

Duniya ke top richest person daily kuch samay achi books padhne me bitate hai. Unka manna hai ki logo ko har din kuch na kuch  sikhte rahna chahiye aur naya sikhne ke liye book se acha aur asan tarika aur kuch nahi hai.

7 Best Motivational Books in Hindi

Aap in books ko apne nearby book store se kharid sakte hai, Agar aapko book nearby book store me nahi milte hai to aap in books ko online Amazon se kharid sakte hai yaha aapko mil jayegi. Yah sabhi books ko lakho logo ne padha hai.

1. Jeet Aapki ( You Can Win )

Jeet Aapki motivational book

Yah book famous lekhak Shiv Khera dwara likhi gayi hai. Yah book aapko self-confidence hasil karne ke liye prerit karti hai. Yah book batai hai hum apne jeevan me kaun se samanya galtiya karte hai jiske chalte hume aage chalkr pachtana padta hai.

Yah book hume sikhati hai ki humara self-confidence hi tay karta hai ki hum kaise sochte hai, mahsus karte hai, aur life me kya karte hai, Agar hum acha sochenge to jeevan me hume positive result hi milega. “Jeetane vaale koi alag kaam nahi karte, Wah har kaam alag dhang se karate hain” yahi  is book ka main message hai.

Agar aap apne jeevan me parivartan lana chahte hai to aapko is book ko jarur padhna chahiye.

2. Rich Dad, Poor Dad

motivational books in hindi

Yah ek bahut hi popular and best motivational book hai. Yah book Rich Dad, Poor Dad ke lekhak Robert Kiyosaki ke jeevan  par hi adharit hai. Yah book ek best selling book me se ek hai.

Is book me lekhak ne 2 fathers ki kahani batayi hai, Jinme pahle unke real father hai aur dusre unke dost ke father hai jo bahut amir hote hai.

Is book me aapko paise bachane aur un paiso ki bachat karne ke liye bahut mehant karni hai ke bare me janne ko milega. Lekhak ke anusar amir banne ke liye naukari karna nahi hai balki business ya nivesh karna hai.

3. Sanyasi Jisne Apni Sampati Bech Di

self help motivational books hin hindi

Yah book hume ye sikh deti hai ki hume apna jeevan kis tarh se jeena chhaiye. aur sath hi yah book hume acha sochne, apne life goals follow karne, time ki value ko samjhne aur apne relationships ko importance dene ke liye inspire karti hai.

4. Ati Prabhavkari Logon ki 7 Aadtein (The 7 Habits of Highly Effective People)

best motivational books for students

Is book ke lekhak Stephen Covey ne bataya hai ki aj hum jo kuch bhi safal, asafal, happy, unhappy hai  sab apni habits ke karan hai.

Yah book hume ye seekh deti hai ki safal persons kaun si 7 habit ko follow karte hai, Lekhak kahte hai ki agar aap bhi in 7 habits ko follow karte hai to aapko badi  safalta milna tay hai.

Yah book bahut hi amazing hai aapko is book ko jarur padhna chahiye.

5. Badi Soch Ka Bada Jadoo

hindi motivational books

Is book ke lekhak kahte hai ki koi bhi person self-improvement se apni jindagi me positive changes la sakta hai.

Is book hume bahut kuch sikhati hai jaise ki Hume apne me vishvaas hona chahiye ki hum safal ho sakte hai aur hum ho sakte hai, badha kaise soche, target set kare, safal kaise bane, etc. Agar aap ek inspirational book ko search kar rahe hai to aapko ye book jarur padhna chahiye.

6. Agni Ki Udaan (Wings Of Fire)

india's motivational books

Wings of Fire, India ki sabse best motivational book me se ek hai jo ki humare bharat ke purv rashtrapati Dr. APJ Abdul Kalam ji dwara likhi gayi hai. Yah un ki khud ki Biography hai, Yah book aapko kuch acha karne aur banne ki prerna deti hai.

7. The Alchemist

best hindi motivational books

Is book me lekhak jindagi me khud par bharosha karna aur apne sapno ko pura karne ke bare me batate hai. Yah book hume ye sikhati hai ki kis tarh prakiti humare liye hamesha behtar option khojati rahti hai aur hume apne lakshya tak pahuchane me madad karti hai. Alchemist ek international bestselling book hai jisne kai sare logo ki jindagi ko change kiya hai.

Agar aapko upanyas padhna pasand hai to aapko is book ko jarur padhna chahiye.

So yah kuch best motivational books hai jinhe aapko jarur padhna chahiye, Aap in books ko padh kar apne jeevan ko aur bhi behatr bana sakte hai. Yah book aapki life me ek positive changes la sakte hai.

I hope ki aapko ye 7 best motivational books in hindi post achi lagi hogi. Agar ye post aapke liye useful rahi hogi to ise aap apne friends ke sath social site me share jarur kare.

Leave a Comment