Best free video editing software 2019 | Hello friends aj hum is post me top 7 best free video editing software ke bare me janenge. Agar aapke paas abhi utne paise nahi hai ki aap ek paid software buy kar sake or aap free video editing software ke bare me search kar rahe hai jiski madad se aap apne video ko achi tarh se edit kar sake to ye post aapke liye helpful ho sakti hai. Is post me mai aapko top free video editing software ke bare me bataunga, Ye sabhi video editing software bahut hi popular or easy to use hai inki madad se aap free me apne video ko professional tarike se edit kar sakte hai.
Jab aap video apne phone ya camera se record karte hai to wo video utni achi nahi hoti, Aap videos apne shauk ke liye ya youtube me upload karne ke liye banate hai to jaruri hai video ko record karne ke baad use ek ache video editor software ki madad se edit kiya jaye jisse ki us video ko ek acha or professional look de sake.
Agar aap videos youtube me upload kane ke liye record karte hai or aap bina edit kiye video upload karte hai to viewers ko aapki video samjh nhi ayegi or viewers aapki videos nahi dekhenge jisse ki aapki videos me view kam ayenge.
- Top 5 Best Web Hosting Companies In India 2019
- Website Kaise Banaye Step By Step Full Guide In Hindi
Agar aap online best video editing software search karenge to aapko bahut sare paid software mil jayenge jinke price bahut adhik hote hai so aese me agar aap paid video editing software nahi lena chahte or aap best free video editing software search kar rahe hai jisse ki aap apne video ko free me professional tarike se editing kar sake to yaha mene best 7 free videos editing software ke bare me bataya hai jisse aap apne video ko ache se edit kar sakte hai.
In sabhi free video editing software me aapko bahut sare features, tools mil jayenge jinki jarurt ek professional video edit karne ke liye hoti hai or in software ko use karna bhi bahut asan hai.
Top 7 Best Free Video Editing Software 2019
Yaha niche bataye software se video editing karne ke liye aapko kisi khas knowledge ki jarurt nahi hai, aap jese jese isko use karege aapko or jada achi se use karna aata jayega ya aap staring me youtube me videos dekh ke bhi in software se video edit karna sikh sakte hai.
1. Open Shot Video Editor
Open shot video editor ek bahut hi amazing free video editing software hai, Iski sabse achi bat yah hai ki ise aap Linux, Mack or Window sabhi platform ke liye use kar sakte hai. Is software me aapko wo sabhi tools and features mil jate hai jo ek paid video editing software me milte hai.
Is software se aap audio edit kar sakte hai, apne video me animation add kar sakte hai, video me effect daal sakte hai, background change kar sakte hai, text edit kar sakte hai, video trim kar sakte hai or bhi bahut sare features hai jinka use kar aap apne video ko professional tarike se edit kar sakte hai.
Download : Open Shot Video Editor
2. HitFilm Express
HitFilm express video editing ke liye bahut hi popular software me se ek hai. Is software se aap professional tarike se apne vidieo ko edit kar sakte hai. Ise aap window or mack dono platform ke liye use kar sakte hai. Isme aapko free me bhut sare features milte hai.
Is software ko install karne ke liye aapko iski official site me jake apne email id se signup karna hoga, Uske baad aapko apke email par download link send kar diya jayega jaha se aap is software ko install kar use kar sakte hai
3. Window Movie Maker
Window movie maker ke bare me bahut se logo ko pata hoga or bahut se log iska use video edit karne ke liye karte hai, Jin logo ko nahi pata unhe bata do yah video editor software bahut hi popular hai, Isme aap apne video me text add kar sakte hai, video ko trim kar sakte hai, 2 videos ko mila sakte hai, audio add kar sakte hai, Photos add kar animation lagani ho etc kai features apko is software me milte hai. Yah ek bahut hi badhiya or easy to use free video editing software hai.
Agar aap ek window user hai to ye software aapke liye bahut hi useful hai video editing ke liye, kyunki yah only windows operating system ke liye hai.
Agar aapko video editing ke bare me jyada knowledge nahi hai to aap staring me window movie maker software use kar apne video ko edit kar sakte hai, is software ko use karna bahut hi easy hai.
Yah sotware windows me pahle se ata hai agar aapke paas ye softwar nahi hai to niche diye link pe click kar ise downlaod kar sakte hai.
4. Blender
Blender ek bahut acha free video editing software hai. Yah specially video me 3D animation dalne ke liye famous hai. Agar aap apne video me 3D effect dalna chahte hai to ye video editing software aapke liye kaphi helpful rahega.
Isme aap video trim, Masking , 3D animation effect ect. kai sare features milte hai jiska use kar aap apne video ko ek acha look de sakte hai.
5. iMovie
Is free video editing software se aap bahut hi badhiya tarh se video editing kar sakte hai, but is software ko kewal mack user hi use kar sakte hai agar aap ek mack user hai or aap ek free video editing software search kar rahe hai to i movie aapke liye kaphi useful ho sakta hai video editing ke liye. Jis prakar window ne window user ke liye window movie maker software banaya hai thik usi prakar apple ne apne apple user ke liye iMovie video editing software nikala jo sirf apple ke products me hi chalega. or is software ko bhi chalana bahut hi asan hai.
6. Shortcut
Shortcut software ko aap Window, Linux, Makc sabhi platform ke liye use kar sakte hai. Yah ke bahut hi badhiya video editing software hai, Isme aap video trim, voice noice, color effect, video effect jaise kai features ka use kar apne video ko edit kar sakte hai.
7. Lightworks
Lightwork ek bahut hi badhiya free video editing software hai, Bahut sare youtuber apni video editing ke liye is software ka use karte hai. Is software ko use karna bahut hi asan hai. Isme aapko kai sare features jaise ki timeline, multiscreen, effect add karna, video cut karna etc kai option milte hai.
To ye the top 7 best free video editing software jinka use kar aap apne video ko professional tarike se edit kar sakte hai.
Ummid karta hun ki aapko ye free video editing software ki list achi lagi hogi, Agar aapka is post se related koi bhi question ya suggestion ho to niche comment me jarur bataye.