Best Free Online Digital Marketing Courses With Certificate From Google In Hindi

Google Digital Marketing Course | Hello friends aj hum is pot me best free online digital marketing courses ke bare me janenge. Kaise hum google se free me online digital marketing course kar free google digital marketing certificate le sakte hai.

google free digital marketing course in hindi 2019

Digital marketing course karne se pahle aapko ye pata hona chahiye ki Digital marketing kya hai? Aap me se bahut se logo ko iske bare me pata hoga but jinhe nahi pata unhe mai bata dun ki Digital marketing ko Internet marketing ya Online marketing bhi kaha jata hai. Yah ek aesi services hai jiske jariye companies apne products ki marketing electronic media jaise ki Social media, Blog, Website, Affiliate marketing etc. ke jariye karti hai. Isme bahut se digital technologies or strategy ka use kar services or product ko sell karna hota hai.

Simple sabdo me kahe to kisi bhi services ya products ko sell karne ke liye hum jin digital technologies jaise ki Social media, Website, Blog etc ka use karte hai use hi digital marketing kahte hai.

Agar aap digital marketing ka course kisi institute se karte hai to aapko 30k – 50k tak fee pay karni pad sakti hai. But agar aap koi aesa tarika search kar rahe hai ki bina paise lagaye digital marketing ka course kar sake to is post ko last tak padhe is post me mai aapko ek aesi website ke bare me bataunga jiski madad se aap free online digital marketing course sikh sakte hai.

Digital marketing ka course aap free me online ghar baithe sikh sakte hai. Digital marketing ka course sikhne walo ke liye google ne ek website launch ki hui hai jaha se aap free online Digital Marketing Courses kar sakte hai or course karne ke baad aapko google ke dwara certificate bhi diya jata hai. or yah to hum sabhi jante hai ki google se mile certificate ki kya value hoti hai. Google se bada certificate aapko koi institute nahi de sakta.

Best Free Online Digital Marketing Courses With Certificate From Google In Hindi

Google Digital Marketing Course karne se pahle aapke man me ye question hoga ki ye course kaun kar sakta hai? kya requirement hai? to mai aapko bata do ki is course ko koi bhi kar sakta hai is course ko karne ke liye aapko jyada eligibility ki jarurat nahi hai agar aap 10th ya 12th paas bhi hai to aap is course ko easily kar sakte hai. Bas aapke paas ek google account (gmail) or Mobile, PC, Laptop me se ek hona chahiye.

Google Digital Marketing Course Kaise Kare

Step 1: Google se free online digital marketing courses sikhne ke sabse pahle aapko learndigital.withgoogle.com is site ko open kar lijiye.

Step 2:  Ab yaha se aapko Register ke button par click kar apne google account se sign in kar lijiye.

google digital marketing course

Step 3: Ab aapko personal details dalni hai.

    1. Apna First and Last name type kare. Dhyan rakhe yaha par aapko apna sahi name dalna hai kyunki isi name se aapka certificate banta hai.
    2. Email preference me aap apne according option ko tick kar dijiye.
    3. Inki Terms of services ko padh kar tick kar lijiye.
    4. Ab yaha Next ek button par click kar dijiye.

online free digital marketing kaise sikhe 2019

Step 4: Jaise hi aap next ke button par click karenge to aapke samne ek page open hoga yaha par aapko wo sabhi online courses show hongi jo aap yaha se free me sikh sakte hai. Aap jis bhi course ko sikhna chahte hai us par click kar kar lijiye.

best free online digital marketing courses

Step 5: Ab next page me aapko bataya jayega ki is course me kitne lesson hai, Kitne modules hai etc unhe padh lijiye fir Start ke button par click karna hai.

Step 6: Ab next page me aapko Topics ka overviews show hoga jaise ki kaun sa lessons kis topics me hai etc. ab yaha par aapko ek Start learning ka button dikhega is par click kar dijiye.

online marketing kaise sikhe hindi me 2019

Step 7: Jaise hi aap Start learing ke button par click karenge to next page me ek video show hogi use dekh lijiye isme aapko is topic se related sari jankari di jayegi. Uske baad Check Your Knowledge ka button par click kar dijiye. Yaha aapse question pucha jayega or kuch option diye jate hai aap unme se kisi ek ko select kar submit kar lijiye.

free online digital marketing courses in india

Step 8: Ab aapne first lesson complete kar liya. Ab next Lesson ke button par click kar next lesson ko karna hai. Isi tarh aapko sare lessons ko complete karna hota hai.

google digital marketing certification

Step 9: Agar aap yah dekhna chahte hai ki aapne kitne lesson complete kiye kitne progress me hai etc. to aap yaha top menu me My Learning Plan wale option me jakar dekh sakte hai.

Step 10: Agar register karte samay aapke name me koi mistake hui hai to aap yaha menu me More ke option me jake My profile par click kar apna name change kar sakte hai.

Ummid karta hun ki aapko ye post best free online digital marketing courses with certificate from google in hindi achi lagi hogi. Agar aapko is post se related koi bhi question ho to aap niche comment me puch sakte hai.

Leave a Comment