Best computer courses after 12th | Hello friends aj hum is post me 12th ke baad kiye jane wale best computer courses ke bare me janenge. Agar aap bhi apna career computer fields me banana chahte hai but aapko samajh nahi a raha hai ki kaun sa computer course acha hai, kis course me acha career bana sakte hai, To ye post aapke liye helpful ho sakti hai, Is post me mene best computer courses after 12th ke bare me bataya hai jinhe karne ke baad aap computer field me ek acha career bana sakte hai.Aksar 12th karne ke baad bahut se students ko ye samajh nahi ata ki aage kya kare, Kaun sa course kare jisse ki career acha bane or achi job ya business kar sake. Kuch samay pahle students ke pas jyada option nahi the lekin aaj ke samay me sahi career ko chunne ke liye bahut sare option hai aese me student ko smajh nhi ata ki kaun sa option unke liye sahi hai.
Jaisa ki hum sabhi jante hai ki aj ke samay me sabhi jagah computer ke madhyam se hi sare kaam kiye jate hai chahe wah government office ho ya private company sabhi jagah computer se kaam kiya jata hai bina computer ke kaam karna bahut muskil hai. Yahi karan hai ki aaj ke samay me computer field me bahut se career option available hai. Agar aap bhi apna career computer field me banana chahte hai to yaha niche bataye courses me apna career bana sakte hai, Yah sabhi courses ki demand bahut adhik hai.
Aj ke samay me computer knowledge hona bahut hi jaruri hai. Bina computer knowledge ke job milna bahut muskil hoti hai.
Best Computer Courses After 12th
Aapne 12th kisi bhi stream chahe wo arts, commerce ya science se ki hai or aap apna career computer field me banana chahte hai to yaha niche mene kuch best computer courses ke bare me bataya hai, Aap inme se apne interest ke according course ko select kar computer field me ek acha career chun sakte hai.
1. Digital Marketing Course
Jaisa ki hum sab jante hai ki ye yug digital ka hai, Yahi karan hai ki aj is field me job ki kaphi demand hai. Iski demand din par par badhti ja rahi hai.
Agar aap future me apna khud ka business start karna chahte hai to aap is field me ja sakte hai, is course ko karne ke baad freelancing me bhi bahut acha career hai digital marketing ka.
Is course me aapko online internet ki madad se kaise marketing karni hoti hai yah sabhi ke bare me sikhaya jata hai, jiske liye aapko kai techniques sikhayi jati hai jaise ki SEO, SMO, Email marketing, PPC, Product marketing etc.
2. Web Designing
Computer course me web designing bhi ek acha or trending course hai, Is course ko karne ke baad aap easily job pa sakte hai is field me job ki kami nahi hai, Isko karne ke baad aap apna khud ka kaam bhi start kar sakte hai.
Isme aapko HTML, CSS, Java script, Bootstrap etc sikhaya jata hai is course ko aap short term and long terms dono hi tarh se kar sakte hai.
3. Android App Development
Yah course bhi bahut hi useful or kaphi demanding courses me se ek hai. Agar aap android app banane me interest hai or aap ghar baithe paise kamana chahte hai to ye course bahut hi best hai. Is course ko agar aap ache se karte hai to yakin maniye aap isse bahut achi income kar sakte hai.
Is course me aapko kuch programming languages jaise ki C, C++, Java sikhayi jati hai or sath hi kaise aap app ka interface bana sakte hai, kaise database ko connect kar sakte hai etc. chije sikhayi jati hai, Is course ko karne ke baad aap kisi bhi company me android app developer job kar sakte hai ya ghar baithe khud ke app bhi develop kar achi income kar sakte hai, sath hi aap freelancing kaam kar ke bhi isse achi income kar sakte hai.
Aj lagbhag sabhi company apne company ke liye app develop karwati hai aese me aap unke liye app develop kar income kar sakte hai.
4. Animation or Multimedia Course
Aj ke samay me is course ki bahut hi demand hai. Agar aap bhi kuch hatke creative karna chahte hai to ye course aapke liye best course hai. Is field me jane ke liye aapko thoda creative hona jaruri hai jaise ki aapko painting, drawing, sketching me interest hona chahiye.
Aap is course ko kisi naami institute se kar ek behatr career option chun sakte hai, Aj ke samay me animation & multimedia ki demand har sector me hai. Is course ko karne ke baad aap tv, news, web development, advertisement industry, animation studio, media channel etc me kaam kar sakte hai. Isme aap diploma ya degree dono tarh ke course kar sakte hai.
5. Python
Aj ke samay is course ki market me bahut jyada demand hai. Agar aapko computer programming me interest hai or aap apna future computer programming ya coding field me job karna chahte hai to ye best course hai.
Python course ko karne ke baad web application, desktop application ya website ko develop kar sakte hai. Aap is course ko kar apna acha career bana sakte hai or isse achi income bhi kar sakte hai.
6. Cyber Security and Ethical Hacking
Ethical hacker ko white hat hacker bhi kaha jata hai. Aj ke samay me sabhi kaam online kiye jate hai jaise ki online shopping, bill pay, online transaction, ticket booking etc to in sabhi subhidha me khatro ka bhi samna karna padta hai so app is course ko karne ke baad kisi company ya department me security ke rup me kaam kar sakte hai.
Ethical hacker banne ke liye networking ki achi knowledge honi chahiye. Is field me job pana muskil nahi is course ko karne ke baad aap easily job pa sakte hai or salary bhi kaphi achi milti hai.
7. DTP Course
DTP ka full form Desk Top Publishing hai, Yah print media publishing course hai. Iska use printing kamo ke liye kiya hai, jaise ki advertisement, book, magazines, visiting card, banner etc me design kiya jata hai. Isme aapko Photoshop, CorelDraw, Page maker etc sikhaya jata hai.
Is course ko karne ke baad aap DTP operators, Graphic designing, Web designing, Publication house etc post ke liye job kar sakte hai. or is course ko karne ke baad aap govt job ke liye bhi try kar sakte hai.
8. MS Office Certificate Course
Microsoft office ek aesi application hai jo kisi bhi office ke kaam ko asan banati hai. Chote bade har tarh ke office me Microsoft office ka use kiya jata hai. Microsoft office certificate course ko karne ke baad aap kisi office me computer se related job pa sakte hai.
9. Hardware and Networking
Aj ke samay me jyada se jyada log computer laptop jaisi technology chijo ka use karte hai or yahi karan hai ki hardware expert ki demand bhi kaphi tezi se bad rahi hai. So aap hardware & networking ka course kar is field me acha career bana sakte hai or achi income kar sakte hai.
Isme aapko hardware component jaise ki Chip, Computer system, Motherboard, Processor, RAM etc chijo ke bare me jankari honi chahiye.
Is course ko karne ke baad aap System Administrator, Network Administrator, Technical Engineer, Computer Hardware Engineer, Network Engineer, Help Desk ect ke rup me job kar sakte hai.
10. Tally
Agar aapko account ke bare me knowledge hai or aap account se related computer course karna chahte hai to aap is course ko kar sakte hai yah course accounting field me bahut hi popular courses me se ek hai. Tally india me sabse jyada use hone wala accounting software hai.
Agar aap commerce ke student hai to ye course apke liye bahut best course hai.
Is course ko karne ke baad aap kisi firm me kaam kar sakte hai jaha account ki jarurat hoti hai ya aap kisi office me bhi kaam kar sakte hai jaha accounting ki jarurt hai, Accounting ki jarurt lagbhag sabhi company me hoti hai.
11. Basic Computer Course
Yah course bahut hi kam samay ka hota hai, Is course ko har kisi ko karna chahiye kyunki aj ke samay me basic computer ki knowledge hona bahut hi jaruri hai. Is course me aapko basic computer jaise ki computer kya hai, kaise start hota hai, Microsoft word, excel, power point, paint kya hota hai, email kaise bhejte hai etc ye sabhi chije sikhaya jata hai.
Agar aapko computer ki basic knowledge nahi hai to aapko is course ko jarur karna chahiye or agar aapko ye sab chije pahle se ati hai to aapko is course ko karne ki jarurt nahi hai. Is course ko karne ke baad aap job ke liye apply kar sakte hai.
To ye hai kuch best computer courses after 12th jinhe aap short term and long term dono tarh se kar apna career computer filed me bana sakte hai. Yah sabhi courses ki demand bahut adhik hai or in course, ko karne ke baad aap easily job pa sakte hai.
Ummid karta hun ki aapko ye best computer courses after 12th post achi lagi hogi, Agar aapke man me is post se related koi question ho to aap niche comment me puch sakte hai.
Agar aapko ye post useful lagi ho to ise aap apne friends ke sath social sites me share jarur kare.