Bollywood Horror Movies | Hello friends aj hum is post me top 10 best hollywood horror movies ke bare me batane ja rahe hai. Movies dekhne ka shauk sabko hota hai, Sabhi log movies dekhna pasand karte hai, Kisi ko Action movies dekhna pasand hai to kisi ko Comedy movies, Horror movies dekhna bahut pasand hota hai. Agar aapko bhi horror movies dekhna pasand hai to aap bilkul sahi post padh rahe hai. Yaha hum aapke sath 10 Best hollywood horror movies list share kar rahe hai jinhe aapko jarur dekhni chahiye.
10 Best Bollywood Horror Movies In Hindi
Yaha bataye sabhi horror movies bahut hi achi aur darawani hai. Is list me old and new movies shamil hai
1. 13B
- Director: Vikram K. Kumar
- Stars: Madhavan, Neetu Chandra, Sachin Khedekar, Murali Sharma
2009 me release hui 13B ek horror drama movie hai, Yah movie bahut purani hai lekin is film ko aj bhi log dekhna pasand karte hai.
Film kuch horror aur thriller type ka hai. Jab tak aap is film ko puri nahi dekhenge tab tak aapko is film ki kahani samjh me nahin aayegi.
2. Tumbbad
- Director: Rahi Anil Barve
- Stars: Sohum Shah, Harish Khanna
2018 me release hui ye film india ki best horror movies me se ek hai. Yah film Maharastra ke Tumbbad naamak gaon ki kaalpanik kahani par aadharit hai. Yah ke Mythological horror movie hai jisme aapko dar, romanchak dekhne ko milega.
Is movies me bahut sare aese effects ka use kiya hai jise dekhkar sabkuch real lagta hai. Is movies me aapko Hindu Devi Devtaon se leke insano ke lalach tak sabkuch dikhaya gaya hai. Agar aapko horror movies dekhna bahut pasand hai to aapko ye movie jarur dekhni chahiye.
3. Stree
- Director: Amar Kaushik
- Stars: Shraddha Kapoor, Rajkummar Rao, Pankaj Tripathi
Stree movies 2018 me release huyi thi, Stree ek horror-comedy movie hai. Horror movies me sabse jyada kamai karne wali movies me yah top par hai. Is movies me aapko comedy aur dar ka majedar combination dekhne ko milega. Is movie ki story ek real incident par based hai.
4. Raaz
- Director: Vikram Bhatt
- Stars: Bipasha Basu, Dino Morea, Malini Sharma, Ashutosh Rana
Raaz film 2002 me release hui thi, Yah film bahut purani hai lekin yah movie abhi bhi utni hi famous hai jitni ki 2002-2003 me thi. Agar aap horror movie ke pakke shaukin hai to is film ko bhi dekha ja sakta hai. Film ki kahani ek love story hai jisme horror ka tadka dekhne ko milta hai.
5. 1920
- Director: Vikram Bhatt
- Stars: Rajneesh Duggal Adah Sharma Indraneil Sengupta Anjori Alagh
1920 ek Bollywood horror drama movie hai, 2008 me release hui is film ko log aj bhi is dekhte pasand kate hai. Yah film 2008-2009 me hit filmo me se ek thi. Horror movies ke chahne walo ko is movie ko ek bar jarur dekhna chahiye. Film ki kahani ek aese ghar ke bare me hai jo logo ki jaan lene ke liye famous hai.
6. Bhoot
- Director: Ram Gopal Varma
- Stars: Ajay Devgan, Urmila Mantodkar, Nana Patekar, Seema Biswas, Tanuja, Rekha & Fardeen Khan
2003 me release hui film Bhoot ek psychological thriller-horror movie hai jo aapko sochne me majbur kar degi ki duniya me bhoot such me hote hai kya? Is movie me Ajay Devgan ke sath Urmila Mantodkar aur Rekha lead role me hai. Yah movie top bollywood horror movies me se ek hai. Aapko is movie ko jarur dekhna chahiye.
7. Darna Mana Hai
- Director: Prawaal Raman
- Stars: Saif Ali Khan, Vivek Oberoi, Nana Patekar, Boman Irani, Sanjay Kapoor, Shilpa Shetty, Sohail Khan, Rajpal Yadav
2003 me release hui ye film bhi ek bahut popular horror movies me se ek hai. Is film me apako ek nahi balki 6 alag alag bhutiya story sunne ko milega. Is film me aapko kai sare stars dekhne ko milenge.
8. Pari
- Director: Prosit Roy
- Stars: Anushka Sharma, Parambrata Chattopadhyay, Rajat Kapoor
Pari movie 2018 me release hui thi, Is film me aapko insan aur bhoot ke bich love relation ka concept dekhne ko milega. Is movie me kuch aese horror seen hai jo aapko sochne me majbur kar denge.
Yah baki horror movie se kabhi alag hai aur aapko isme kuch naya dekhne ko milega.
9. The House Next Door
- Director: Milind Rau
- Stars: Prakash Belawadi, Khushi Hajare, Andrea Jeremiah
2017 me release huyi film the house next door ek perfect horror movie hai, Isme aapko powerfull story dekhne ko milegi. Film ko khas banati hai iski innovative theme jo ek chines story me base hai. Is film ki story ek padoshi ghar ke bare me hai jisme bhooto ka kabja hota hai. Is movie ko bhi jarur dekhna chahiye.
10. Raat
- Director: Ram Gopal Varma
- Stars: Revathy, Rohini Hattangadi, Om Puri
Yah movie 1992 me release hui thi, Yah ke bahut purani aur best horror movie hai. Yah film horror, emotion, rahsya ke jarirye romanch paida karti hai.
To dosto yah hai best bollywood horror movies, Agar aapko horror movies dekhna pasand hai to aapko in movies ko jarur dekhna chahiye. I hope ki aapko ye post achi lagi hogi. In movies ke alawa agar aapko other best horror movies ke bare me pata hai to aap niche comment me jarur share kare.