Dosto aap sabhi ko pata hoga ki sarkar ke naye niyam ke anusar income tax return jama karne ke liye Aadhaar card number ko PAN card se link karana aniwarya kar diya hai, Agar aap bhi income tax return file karte hai to aapko apane aadhaar card number ko PAN card se link karana jaruri hai.
To dosto aagar aap janna chahte hai ki ghar bedhe online or sms ke dwara apne aadhaar card number ko PAN se kaise link karte hai to aap is post ko last tak padhiye is post me mai aapko 2 aise tariko ke bare me bataunga jisase aap badi aasani se apne Aadhaar number ko PAN se link kar sakte hai . 1. SMS dwara 2. Website ke dwara.
Dosto Aadhaar card number ko PAN card ke sath link karna bahut hi aasan hai, yah koi bhi person ghar bedhe SMS or online website ke jariye kar sakte hai.
- Aadhaar Virtual ID Kya Hai? Virtual Id Kaise Generate Kare
- Kaise Pata Kare Humara Aadhaar Card Kaha Or Kaise Use Kiya Gaya Hai
Aadhaar Card Number Ko PAN Se Kaise Link Karte Hai?
Dosto aap apane aadhaar card number ko PAN se link tabhi kar sakte hai jab aapke aadhaar card or PAN card me aapki sabhi detaile jaise ki Name, Date of birth, Gender sab kuchh same honi chahiye, tabhi aap apne aadhaar ko PAN se link kar payenge.
Agar aapki details aadhaar card or PAN card me alag alag hai to aap sabse pahle apne card ki details ko correct kar lijiye. Agar aap online apne card ki details ko correct karna chahte hai to aap aadhaar card ke liye UIDAI portal or PAN card ke liye NSDL website par jakar apni details correct kar sakte hai.
SMS Dwara Aadhaar Card Number Ko PAN Card Se Kaise Link Kare –
Step1: Sabse pahle aap apne mobile ke messages ko open kar lijiye.
Step2: Ab yaha par aap ek new message type kijiye message me capital later me UIDPAN fir ek space dekar 12 digit ka aadhaar number fir ek or space dekar PAN number dal dijiye. Ab is massage ko 567678 par ya fir 56161 par send Kar dijiye.
Example: UIDPAN <SPACE> 123456789098 <SPACE> ABXY0123Z.
Note: Dosto dhyan rakhiye aap ye massage usi mobile number se send kar sakte hai jo mobile number aapke Aadhaar card ke sath register hai.
Jab aap ek bar message send kar denge to fir aapki details match ho jane par aapka aadhaar card number PAN card ke sath link ho jayega.
Online Website Ke Dwara Aadhaar Card Number Ko PAN Card Ke Sath Kaise Link Kare –
Step1: Sabse pahle aap apne browser me incometaxindiaefiling.gov.in ko open kar lijiye.
Step2: Ab ye incometaxindiaefiling.gov.in ki home page open ho gyi yaha left side me aap dekh sakte hai Link Aadhaar ka option diya hua hai is par click kar dijiye.
Step3: Ab yaha par aapko apani details dalni hai.
1. PAN – Yaha par aap apna PAN number type kare.
2. Aadhaar Number – Yaha par aap apana 12 digit ka aadhar number type kare.
3. Name as per AADHAAR – Yaha par aapko apna wohi name likhna hai jo aake aadhaar card me likha hua hai.
4. Captcha code ko type kare.
5. Ye sabhi detail dalne ke baad Link Aadhaar ke button par click kar dijiye.
Jaise hi aap Link Aadhaar ke button par click karenge to agle page me aapko ek massage dikhega jisame likha hoga ki aapka Aadhar PAN se successfully link ho gya hai.
I hope aapko Aadhaar card number ko PAN se link karne ki ye jankari achhi lagi hogi or ab aapne sikh liya ki hum ghar bedhe kaise apne Aadhaar card number ko PAN se link kar sakte hai.
Agar aapko Aadhaar card number ko PAN se link karne me koi bhi problem ya koi question ho to aap niche comment box me puchh sakte hai.