Top 15 Most Useful Websites In Hindi – Amazing Websites 2019

Top 15 Most Useful Websites 2019 | Hello Friends aaj hum is post me top 15 most useful websites ke bare me janenge. 

Aj ke samay me internet me kai hajaro, lakho websites hai, Lekin jaruri nahi hai ki ye sari websites humari kaam ki ho, sirf kuch website hoti hai jo humare liye useful and helpful hoti hai, jo humare kaam ko asan or smart banati hai. Aj mai is post me aapko top 15 most useful websites ke bare me batane ja raha hun jinke bare me sabhi internet user ko pata honi chahiye.

Top 15 Most Useful Websites Ki Jankari Hindi Me

Agar aapko internet me nayi nayi chije sikhna acha lagta hai ya aap ek internet user hai to aapko in top 15 most useful website ke bare me jarur pata hona chahiye.

To chaliye ab jan lete hai ki wo kaun se top 15 most useful websites hai jinke bare me har internet user ko pata hona chahiye.

Top 15 Most Useful Websites In Hindi

1. PDF DRIVE

PDF Drive ek bahut hi badhiya website hai, Agar aapko ebook padhna acha lagta hai to yah website aapke liye best hai, Is website ki madad se aap apne pasand ki free PDF download kar use padh sakte hai, Yaha par aapko bahut tarh ke categories ke ebooks milte hai jaise ki Health & fitness, Art, Lifestyle, Technology etc. aap kisi bhi categories ki PDF free download kar padh sakte hai.

2. Internet Live Stats

Yah website bahut hi amazing hai, Is website ki madam se aap ye jan sakte hai ki internet par real time par kya ho raha hai jaise ki ek din me kitne email, tweets, tumblr post, instagram me photo upload huye, Youtube videos par kitne views aye, Aj ki date me kitne websites hai, kitne internet user hai etc. sabhi ke bare me is website ki madad se jan sakte hai.

Or sath hi is website se ye bhi jan sakte hai ki 1 second me Twitter par kitne tweet huye, Instagram me kitni photo upload huye, Youtube video par kitne view aye etc.

3. 10MinuteMail

Dosto internet par kai sari aesi website hoti hai jaha sign in karne ke lliye email id manga jata hai or aese me aap un sites me apne personal email id use nahi karna chahte hai aese me aap 10minutemail website ki madad se ek temporary email id le sakte hai or us email id ko dalkar un sites par sign in kar sakte hai.

Ye email id 10 minute tak valid rahta hai, but agar aapka kaam pura nhi hua to aap ise 10 minute or bada bhi sakte hai.

4. TabletWise

Dosto ye website sabhi ke liye kabhi useful hai, Is website ki madad se app kisi bhi medicine ke bare me jan sakte hai jaise ki kaun si medicine kis kaam me ati hai, uska kaise use karna hai, uske kya side effect hai etc. sabhi ke bare me details me jan sakte hai, apne language Hindi, English etc. me.

Is site ko open kar aapko jis bhi medicine ke bare me janna hai uska name type kar dijiye uske baad aapko us medicine ki sari detail show ho jayegi.

5. Grammarly

Kai bar humhe kisi ko english me mail, latter ya kuch bhejna hota hai or achi english, grammar na ane ke karan hume ye dar laga rahta hai ki us email, latter me spelling ya grammar ki galti hogi to, aese me aap apne in galtiyo se bachne ke liye aap grammarly ki website ka use kar sakte hai ye website hum jo bhi type karte hai usko scan karke correction ke bare me batati hai.

Is site ko use karne ke liye aap grammarly extension ko apne chrome browser me install kar sakte hai hai ya is site me apne facebook ya gmail se free log in kar iska use kar sakte hai.

6. Account Killer

Hum kai sare website jaise ki Facebook, Skype, Pinterest, Twitter, Instagram etc. par account banate hai but kisi karan ya un account ko use na karne ke karan hume un accounts ko delete karna pad jata hai aese me hume samjh nahi ata ki un account ko kaise delete kiya jaye to aap account killer website ki madad se badi hi asani se delete kar sakte hai.

Is site me aapko account ko delete karne ka step by step process bhi bataya jata hai, jiski madad se aap badi hi asani se unused account ko delete kar sakte hai.

7. SuperCook

Ye website un logo ke liye jyada useful hai jinko cooking me interest hai, Yaha par aapko kuch categories milti hai in categories ki madad se aap jan sakte hai kis categories ke food se aap kaun kaun si or kitne type ke recipes bana sakte hai.

Jaise ki aapne fruit category ko select kiya or uske baad usme aapne banana or apple fruit ko select kiya ab aapke samne wo sari recipes a jayenge jinhe aap banana or apple ka use kar bana sakte hai, or aapko us recipe ko kaise banana hai wo bhi step by step bataya jata hai.

So is prakar aap is website ki madad se aapke ghar me jo bhi chij available hai unka use kar unse kya kya banaya ja sakta hai is bare me jan sakte hai or kai recipes bana sakte hai.

8. W3School

Agar aapko web developing course jaise ki HTML, CSS, JavaScript, PHP etc. sikhna chahte hai to ye best website hai, Is website me aap coding sikhne ke sath yaha coding karke uska previews bhi dekh sakte hai. Online coding sikhane ke liye ye website bahut hi badhiya hai.

9. Office

Yah website un logo ke liye jyada useful ho sakti hai jo jyada Microsoft office ka use use karte hai.

Jaise ki aap sabhi ko pata hoga ki humhe Word, Excel, Power point me kaam karne ke liye jaruri hai ki humare PC, Laptop me Microsoft office install hona chahiye, lekin agar aake paas Microsoft office nhi hai ya aap kisi or ka pc laptop use kar rahe hai jisme Microsoft office nahi hai or aapko excel, word power point pe kaam karna hai to aese me aap is website ki madad se apne kaam ko kar sakte hai.

Is website me aap apne Microsoft account se login kar Word, Power point, Excel ko online access bhi kar sakte hai.

10. Virus Total

Is site ki  madad se aap jan sakte hai ki aap jo bhi software apne PC ya Laptop me install karne ja rahe hai usme viral hai ya nahi.

Jaise ki aap apne friends ya kisi or se koi software le aye ya fir aapne internet se koi crack software download kar liya or aap use apne PC ya Laptop me install karne se pahle check karna chahte hai ki us software me virus to nhi hai aese me aap is website ki madad se jan sakte hai.

Iske alawa aap kisi bhi website ko open karne se pahle uska url is site me dalkar check kar sakte hai ki ye website secure hai ya nahi.

11. Cashkaro

Yah ek coupon and cashback website hai, Jo ki aapko online shopping karne par cashback or discount deti hai.

Agar aap is website ke jariye koi bhi saman kisi bhi eCommerce site jaise ki Flipcart, Amazon, Myntra etc. se buy karte hai to aapko acha discount or cashback milta hai.

Is website ki achi bat ye hai ki aap is website ko apne friends, family ko refer karke bhi earn kar sakte hai or is website me sign up karne par aapko Rs. 50 ka sign up bonus milta hai.

12. PDF Online

Agar aapko kisi PDF file ko edit karna ho to aap use direct edit nahi kar sakte aese me aapko pahle us PDF file ko word me convert karna hoga uske bad hi aap us PDF file ko edit kar sakte hai.

Is website ki madad se aap apne PDF file ko word me convert kar usme edit kar sakte hai ya kisi word ki file ko PDF me convert kar sakte hai.

13. Worldometers

Yah website bahut hi badhiya hai, Is website ki madad se aap world ki different type of data jaise ki currently world ki kitni population hai, aj kitne logo ne janam liya hai, kitne car sold huye hai , kitne mobile sell hoye etc. bahut sari data ko aap is website ki madad se dekh sakte hai.

14. TwoFoods

Is site ki madad se aap kinhi 2 foods ko compare kar sakte hai ki un dono me kis food me jyada calories, fat, protein carbs hai, Jaise ki agar aapko janna hai ki apple or orange me kis me jyada protein, calories hai to aap is website ki madad se jan sakte hai.

Is prakar hum is website ki madad se jan sakte hai ki kaun sa food humare liye kitna faydemand hai.

15. Bitly

Yah ek shorter link website hai, Is site ki madad se aap kisi bhi website ke bade url ko short kar sakte hai.

url ko short karne ke liye sabse pahle aap us url ko copy kar lijiye jise aap short karna chahte hai usake bad bitly me akar us url ko past kar dijiye ab ye site aapko ek short url generate kar dega jise ap kahi bhi share kar sakte hai.

To ye hai top 15 most useful websites jinke bare me sabhi internet user ko pata hona chahiye.

Ummid karta hun ki aapke liye ye top 15 most useful websites post helpful rahi hogi, Agar aapke man me is post se related koi question ho to niche comment me puch sakte hai. 

Agar aapko is post me kuch naya sikhne ko mila ho to ise social media sites me apne friends ke sath share jarur kare.

Leave a Comment