Aadhaar authentication history | Hello friends aaj hum is post me humara aadhaar card kaha kaha or kin kin kamo ke liye use kiya gaya hai, aadhaar kis kis account me link hai etc ke bare me janenge.
Jaisa ki dosto hum sabhi jante hai ki ajkal aadhaar card humare life ka ek important part ban chuka hai or aadhaar card ki jarurat har jagah hoti hai chahe hume bank account khulwana ho ya sim card lena etc me aadhaar card manga jata hai, So aise me hume apne aadhaar card ka galat use hone se bachane ke liye ye janna bahut jaruri hai ki humara aadhaar card kaha kaha or kin kaamo ke liye use ho raha hai.
- Aadhaar Card Ko Secure Rakhne Ke Tarike
- Online Transaction Karte Samay Dhyan Me Rakhne Wale 10 Jaruri Safety Tips
Agar aapko bhi lagta hai ki aapke aadhaar card ka galat use ho raha hai ya koi or uska use kar raha hai to aap is post me bataye steps ko follow kar is pata kar sakte hai ki aapka aadhaar card kaha or kin kaamo ke liye use kiya gaya hai.
Aadhaar Card Kaha Kaha Link Hai Kaise Pata Kare
Humare aadhaar card ka use kaha or kin kama ke liye ho raha hai ye janne ke liye hume apne Aadhaar authentication history ko janna hoga.
Aadhaar authentication history ko janne ke liye hume kuch step ko follow karna hoga uske baad hi hum jan payenge ki humara aadhaar card ka use kaha or kin kamo ke liye use hua hai.
Step1: Sabse pahle aap apne browser me uidai ki official website ko open kar lijiye.
Step2: Ab is website me ane ke baad yaha my aadhaar wale tab me jake aadhaar authentication history ke option par click kar dijiye.
Step3: Ab ek new page open hoga yaha par aapko apna 12 digit ka aadhaar card number dalna hai or ek security code diya hoga use fill kar generate otp par click karna hoga. Uske baad aapke register number par ek otp ayega.
Step4: Jaise hi aap generate otp pe click karege to uske baad ek new page open hoga usme aapko kuch detail fill karni hogi.
- Authentication type me all select kar dijiye.
- Select date me kab se kab tak ki history dekhna chahte hai us date ko dal dijiye.
- Number of record me 50 dal dijiye.
- Yaha par aapke phon me jo otp aya tha use daal dijiye.
- Sari detail dalne ke baad submit ke button par click kar dijiye.
Ab aapke samne ek new page open hoga jisme aapki sari history open ho jayegi, Yaha se aap jan sakte hai ki aapka aadhar card kaha kaha, kin kamo ke liye, kis date ko or kis time me use hua hai, yaha se aap apne aadhaar card ki all history dekh sakte hai.
Is history ko aap achi tarh dekh lijiye ki ye sare use aap hi ne kiya hai ya nahi, So is prakar aap apne aadhaar card ki history check kar apne aadhaar ko secure rakh sakte hai.
Ummid karta hun ki aapko ye aadhar card kaha kaha link hai kaise jane post achi lagi hogi. Agar is post se related aapke man me koi question ho to aap niche comment me puch sakte hai.