Website Ka Complete Backup Kaise Lete Hai? Plugin & cPanel Se

Hello friends aj hum is post me apni Website Blog ka complete backup kaise lete hai? ke bare me janenge. Agar aapke paas Blog website hai to aapko pata hi hoga ki website blog ka backup lena kitna jaruri hota hai.

Ye batane ki jarurt nahi hai hum sabhi ko iske bare me pata hai. Aj humara topic hai website ka complete backup kaise le? Yaha is post me hum aapko 2 tariko se apni website blog ka complete backup kaise le ke bare me batane ja rahe hai. So aap yaha niche bataye steps ko follow kar easily apni website blog ka complete backup le sakte hai.

Website Ka Complete Backup Kaise Lete Hai 2020

Kisi bhi website blog ka timely backup lena bahut hi jaruri hota hai. Agar aap apne website ka backup nahi lete hai aur kisi karn aapki website blog me koi problem jaise ki hack hona, hosting company band hona ya data ka delete hona to aese me aapke dwara ki gayi itne samay ki puri mehnat bekar ho sakti hai.

Aksr new bloggers ko website ka backup kaise le ke bare me jankari na hone ke karn ye galti karte hai aur wo apni site ka backup nahi lete hai. Website blog ko secure rakhne ke liye jaruri hai aap apni website blog ka time to time backup jarur le. Backup hone par agar kisi karn aapki site par koi problem ati bhi hai to aap us backup ka use kar apni site ko restore kar sakte hai.

Website Blog ka Backup lena kyu jaruri hota hai?

Website blog ka backup lena bahut hi important hota hai. Website blog ke backup lene ke kuch mukhya karn –

  • Website ka hack ho jana.
  • Hosting company ka bank hona.
  • Koi data delete ya corrupt hona.
  • Website blog ko old hosting se new hosting me move karne ke liye.

Aese kai karn ho sakte hai jiske liye aapko apne website blog ka time to time backup lete rahna chahiye, Agar aapke paas website blog ka back up hai aur uske baad aapke site me koi problem bhi ati hai to ap easily us backup ka use kar apni website blog ka restore kar sakte hai.

To ab aap jan gaye hai ki website ka backup kitna important hota hai. To chaliye ab jante hai ki hum apni website blog ka complete backup kaise lete hai.

Blog Website Ka Complete Backup Kaise Lete Hai

Website blog ka complete backup lene ke bahut se tarike hai. Yaha mai aapko Plugin se website backup kaise lete hai aur cPanel se backup kaise lete hai ke bare bare me batauga. Jiski madad se aap apne website blog ka easily backup le sakte hai.

Plugin Se Website Ka Backup Kaise lete hai?

Agar aapki site wordpress me hai to aapko kai sare plugin mil jayenge jiski madad se aap easily apni wordpress website ka bachup le sakte hai. Yaha mai aapko Updraftplus plugin ke bare me bataunga jiski madad se aap apni wordpress website ka complete backup le sakte hai. Yah plugin ek most popular wordpress backup plugin hai.

Updraftplus Plugin Se WordPress Website Ka Backup Kaise le

Step1: Sabse pahle aap apne worpdress me login kar Updraftplus plugin ko install kar activate kar lijiye.

Step2: Updraftplus plugin ko activate karne ke baad plugin me jakr Updraftplus plugin>Setting par click kar dijiye.

backup file

Step3: Ab yaha aapko backup lene ke bahut se tarike mil jayenge, Jaise ki agar aap manual apni site ka backup lena chahte hai to aap yaha se Backup/Restore wale menu par click kar Backup Now ke button par click kar dijiye. backup kaise le

Step4: Ab ek popup open hoga jaha aapko database aur files backups ke option par tick karne ke baad Backup Now ke button par click karna hai. Ab aapke website ka backup start ho jayega, Backup proces pura hone ke baad aap ise apne computer me save karke rakh sakte hai.

backup plugin 2020

Is tarh se backup lena asan hai, But iska nukshan yah hai ki jab kabhi aapka computer kharab ho jaye ya aapse file delete ho jaye to aese me aapka backup bhi kho sakta hai isliye hamesha hume apni site ke backup file ko remote storage jaise ki Dropbox, Google Drive, etc. me save karne rakhna chhaiye. Mai aapko suggest karunga ki aap bhi apni site ka backup hamesh remote storage me hi save karke rakhe. Yaha mai Google Drive me backup le raha hun, Google drive backup ke liye sabse acha option hai.

Google drive me website ka backup kaise le?

Step1: Google drive me backup lene ke liye sabse pahle aap UpdraftPlus Backup ki Settings menu par click kare, Uske baad yaha se aap Files aur Database backup schedule ko set kar dijiye ki aap kab kab backup lena chahte hai apne according select kar lijiye, Fir niche remote storage me Google Drive ke option ko select kar dijiye. fir niche last me Save Changes ke button par click kar dijiye.

google drive me backup kaise lete hai

Step2: Ab aapko Google Drive ko UpdraftPlus backup plugin se connect karna hoga uske liye aap yaha se Authenticate with Google wale option ke samne diye link par click kar dijiye.

updraft backup plugin use  in hindi

Step3: Ab is link par click karne ke baad aapko next step me apne gmail account se login karna hoga, Fir UpdraftPlus aapke Google Drive account ko access karega uske liye aap Allow ke button par click kar dijiye.

Step4: Ab ek new page open hoga yaha se aapko Complete setup ke button par click karna hai.

updraftplus wordpress backup plugin hindi

Step5: Ab aapka google drive account UpdraftPlus plugin ke sath successfully authenticate ho gaya hai, Ab aapke site ka backup aapke set kiye time ke according aapke google drive me save ho jayegi.

Cpanel Se website ka Backup Kaise Lete Hai?

Step1: cpanel se website blog ka backup lene ke liye sabse pahle aap apne cpnale me log in kar lijiye uske baad Files wale option me jakr Backup Wizard  par clik kar dijiye.

Cpanel Se website backup kaise lete hai

Step2: Ab yaha se Back Up wale option par click kar dijiye.

cpanel se backup kaise le

Step3: Ab next page me aapko 2 option milenge.

  1. Full Backup: Is option me aap apne pure website ka backup le sakte hai. Full backup tab lena chahiye jab aapko apni site ko ek hosting se dusri hosting me move karna ho.
  2. Select Partial Backup: Isme aapko 3 alag alag option Home Directory, MySQL Databases aur Email Forwarders & Filters milenge. Aap ek ek kar ke in sabhi par click kar download kar apne computer me save kar lijiye.

how to backup wordpress website from cpanel hindi

Backup ka matlab aesi file banana hota hai jise dubaara se use kiya ja sake. Jaise ki agar aap wordpress par banaye website ka ek backup bana lete hai aur agar kisi karan se future mein kuchh website me issue aata hai to aap us backup ki madad se apni website ko thik kar sakate hai.

So is tarh se aap apni website blog ka plugin aur cpanal ki madad se easily backup le sakte hai. Aapko apni website blog ka daily ya 3-4 day me ek bar jarur backup lena chahiye, jisse ki agar aapke site me koi problem ati hai to aap us backup ka use kar apni site ko dobara restore kar sakenge.

I hope ki aapko ye website blog ka complete backup kaise lete hai? post achi lagi hogi. Agar aapka is post se sambandhit koi question ho to aap niche comment me puch sakte hai.

Leave a Comment