Duplicate voter id card | Hello friends aj hum is post me Online duplicate voter id card kaise banwaye? ke bare me janenge. Agar aapka voter id card Kho gaya hai ya Fat gaya hai to tension lene ki koi baat nahi hai, Aap is situation me duplication voter id card banwa sakte hai, Yaha is post me mai aapko step by step bataunga ki kaise aap apne voter id card ki duplicate copy banwa sakte hai.
Yah to hum sabhi jante hai ki voter id card humare liye kitna importatnt ducomnet hai, Iska use vote dene k alawa bhi bahut se kaamo ke liye kiya jata hai. Agar aapka ek bar voter id card ban jata hai to uske baad agar aapka voter id card kho jata hai, fat jata hai ya fir kharab ho jata hai to aap easily apna dublicate voter card bana sakte hai.
Duplicate voter card banane ke karan?
- Voter id card ka chori hona.
- Voter card kho jana.
- Voter card kharab ho jana.(pani ya kisi other reason se card kharab hona)
- Voter card fat gaya hai.
How to Apply Duplicate Voter Id Card in Hindi
Duplicate voter id card aap online aur offline dono tarh se banwa sakte hai.
Offline duplicate voter id card banwane ke liye aap apne nazdigi Nirvachan Aayog (voter card office) me jakar form lekar apni details fill kar submit kara dijiye. Uske baad aapke document verification ke baad aapko dustra voter id card de diya jayega.
Offline duplicate voter id card apply karne ka process thoda muskil tha aur isme samay bhi adhik lagta hai, Islliye iske samadhan ke liye nirvachan aayog ne dublicate voter id card ke liye online apply karne ki prakiya suru kiya hai. Isme aap ghar se hi online duplicate voter card banwa sakte hai aur banne ke baad aapko lene jane ki bhi jarurt nahi hai by courier aapke ghar par bhej diya jayega.
Online Duplicate Voter Id Card Kaise Banwaye?
Note: Duplicate voter card banane ke liye jaruri hai ki aapke paas voter id card number (EPIC No.) hona chahiye. Agar aapko apna EPIC No. nahi pata hai to aap https://electoralsearch.in/ is link par click kar apni detail daal kar voter card number jan sakte hai.
Step1: Sabse pahle aapko nvsp ki official site ko open kar login karna hoga. Yaha login ke tab par click kar dijiye, Ab agar aapka account pahle se bana hai to aap yaha apni login detail dalkr sign in kar lijiye, Nahi to niche Don’t have account par click kar register kar lijiye.
To chaliye yaha hum register kar lete hai.
- Yaha aap apna mobile number enter kar dijiye.
- Ab is captcha code ko is box me enter kar Send OTP ke button par click kar dijiye.
- Ab aapke us number par ek otp ayega us otp ko yaha enter kar Verify ke button par click kar dijiye.
- Jaise hi aap otp dalkr verify karenge to niche ke option enable ho jayenge. Uske baad aap apna Epic Number, Email, Password, Confirm password enter kar dijiye
- Final me aap Register ke button par click kar dijiye. Ab aapka account successfully create ho gaya hai.
Step2: Login karne ke baad yaha aapko Form Wale option par click karna hai, Ab yaha aapko kai form milenge inme se aap last wale Form 001 (Replacement of Elector’s Photo Identity Card) is form par click kar lijiye.
Step3: Ab yaha aapko is form me apni details fill karni hai
- Yaha aap apna state select kare.
- District ko select kare.
- State select kare.
- Apna Name enter kare.
- Surname type kare.
- Father’s/Mother’s/Husband’s jo name aapke voter id card me tha us name ko enter kare.
- Father’s/Mother’s/Husband’s surname type kare.
- Apna Date of Birth type kare.
- Gender select kare.
Step4: Yaha aapko apni address details dalni hai
- Yaha aap apna House no, state, town, locality, town, police station, pin code, state, district ko enter kar kare.
- Yaha par aap apna EPIC Number ko enter kare jo ki aapke original voter card ka tha.
- Yaha aap reason likhiye ki aap duplicate voter card kyu banana chahte hai.
- Yaha se aap I wish to receive my EPIC by post wale option ko tick kar dijiye. Isse aapka voter card aapke address par by post ayega.
Ab yaha se aap apna Place name enter kare, Date select kare, Fir is captcha code ko is box me enter kar dijiye. Ab final me Submit ke button par click kar dijiye.
Submit ke button par click karne ke baad aapka form submit ho jayega, Uske baad aapko ek message show hoga ki aapka form submit ho chuka hai aur aapko ek reference id number bhi milega jisse aap ise online track kar sakte hai ki aapke form ka status kya hai.
Ab aapki detail verification hogi uske baad aapka form accept ya reject hoga.
Ab agar aap kabhi bhi apne form ka status dekhna chahte hai to home page me jakar Track Application status wale option par click kar usi reference id ko dalkar track status wale button par click kar dijiye, Ab aapko aapke form ka status show hoga.
Agar aapka form accept ho jata hai to aapka duplicate voter card aapke ghar by post bhej diya jayega.
To dosto is prakar aap apna duplicate voter id card banwa sakte hai, I hope ki aapke liye ye jankari helpful rahi hogi, Agar aapka is post se related koi bhi question ho to aap niche comment me puch sakte hai.
Agar aapko ye post achi lagi ho to aap ise apne friends ke sath social sites me share jarur kare.