Facebook Custom Friend List Kya Hai Aur Kaise Create Kare

Facebook Custom Friend List | Facebook friend list ke bare me to har facebook user ko pata hai, but aj hum is post me facebook custom friend list kya hai aur kaise create kare ke bare me janenge. Bahut hi km logo ko is facebook feature ke bare me pahle se pata hoga.

facebook custom fiend list kya hai

Facebook par user ke subhidha ke liye kai sare ache ache features available hai but unme se kai features ka use bahut kam log karte hai, Inhi me se ek custom friend list hai.

Custom Friend List Kya Hai?

Custom friend list ki madad se aap apne facebook friends ko alag alag list me rakh sakte hai. Isme app sabhi friends ko ek sath rakhne ki jagah apne close friend, family friends, best friends, etc. ki list bana kar alag alag list me rakh sakte hai.

Facebook par humare kai sare friends hote hai, jisme se koi college friends, family members, ya koi unknow friends bhi hote hai, aese me jab hum facebook par koi bhi photo, video share karte hai to wo post humare sabhi facebook friends ko show hoti hai, or hum kabhi kabhi facebook par koi aesi video ya photo share karte hai jise hum chahte hai ki wo post only college friends ko hi dekhe or koi us post ko na dekh sake ya koi aesi post jise hum only family friends ke sath share karna chahte hai to aese me aap is custom friend list feature ka use kar esa kar sakte hai. Is feature ka use kar aap apne facebook post ko only apne custom friends list wale friends ko hi dikha sakte hai.

Facebook Custom Friend List Kaise Create Kare

Step1. Sabse pahle aap apne pc ya laptop se facebook ko open kar log in kar lijiye. Agar aap mobile use kar rahe hai to aap google chrome browser ka use kar desktop wali site ko open kar lijiye.

Step2. Ab yaha homepage me left side me niche Friend list ke option par click kar dijiye.

facebook custom friends list

Step3. Ab yaha se aap list create kar sakte hai, uske liye yaha aapko +create list ka option dikhega us par click kar dijiye. 

create friends list hindi 2020

1. List name: Yaha par aap us list ka naam enter kare jin friends ki list aap banana chahte hai, Jaise ki collage friends, family member, best friends, etc. aap apne according koi bhi list bana sakte hai.

2. Members: Yaha aap jis bhi friends ko list me add karna chahte hai uska name type kar select kar lijiye.

3. Ab last me friends add karne ke baad create ke button par click kar dijiye.

facebook friends list hindi

Ab aapka list create ho chuka hai, Is list ko aap kabhi bhi edit kar sakte hai, isme aap new friends add remove kar sakte hai. List me friends ko ad karne or remove karne ke liye aap yaha Add friend to list wale button par click kar friends ko add or remove kar sakte hai.

List ko edit, rename or delete karne ke liye list ke samne bane manege list button par click kar edit kar sakte hai.

Facebook Custom Friends List hindi

Ab aap facebook par koi aesa post share karna chahte hai jise aap apne custom friends ko dikhna chahte hai to aap again facebook homepage me akar friends list wale option par click kar dijiye.

  1. Ab next page me us custom friend list ko select kare jiske sath aap apne post ko share karna chahte hai.
  2. Ab yaha se aap jo bhi post share karenge wo post only aapke select custom friends ko hi dikhega other is post ko nahi dekh payenge.

facebook privacy hindi 2020

Iss tarh aap facebook par custom friend list bana kar facebook post ko apne custom friends ke sath share kar sakte hai.

Ummid karta hun ki aapko ye facebook custom friend list kya hai aur kaise create kare post achi lagi hogi, Agar aapke man me is post se related koi bhi question ho to aap niche comment me puch sakte hai.

Leave a Comment