Top 5 Best Web Hosting Companies In India 2023

Best web hosting companies in india 2023 | Hello friends aj hum is post me Top 5 Best Web Hosting Companies in India ke bare me janenge. Agar aap bhi apne Website, Blog ke liye best and cheap web hosting company ko search kar rahe hai to ye post aapke liye helpful hogi.

Yaha humne 5 best cheap web hosting company ke bare me jankari share ki jinhe aap apne website blog ke liye use kar sakte hai yah sabhi web hosting company bahut hi popular aur best price me hosting service provide karti hai.

Top 5 Best Web Hosting Companies In India 2020

Ye to hum sabhi jante hai ki kisi bhi website blog ko active or internet me live rakhne ke liye hume web hosting ki jarurat hoti hai, Jiske liye hum best web hosting company se web host server buy karte hai.

Agar aapko web hosting kya hoti hai? Iski jarurat kyu padhti hai? Kitne types ki hoti hai, In sabhi ke bare me nahi pata to aap humari web hosting kya hai is post ko padh kar web hosting ke bare me jan sakte hai.

Beginners ke mn me website blog start karte samay pahla sawal yah hota hai ki wo apne website blog ke liye best and cheap web hosting kaha se kharide, unhe ye nahi samjh ata ki starting me kaun se web hosting plan le aur kaun si web hosting company se le. So yaha mai aapko most popular 5 best web hosting companies in india ke bare me bata raha hun jaha se aap apne website blog ke liye ek achi or cheap web hosting buy kar sake hai.

Aese to aj ke samay me bahut sari companies hai jo cheap web hosting service provide karti hai or sari companies apne aap ko best web hosting services provider batati hai, But jab aap un company par signup kar web hosting use karenge to aap bahut sare issue jaise ki speed, traffic, support, etc. face karenge. So aj hum is post me 5 best web hosting companies ke bare me janenge jo ki bahut popular or sabse jyada use kiye jane wali web hosting companies hai.

To chaliye ab jante hai un top 5 best web hosting companies in india ke bare me, jaha se aap apne website blog ke liye cheap web hosting service buy kar sakte hai.

Web Hosting Buy Karte Samay Kin Bato Ka Khyal Rakhna Chahiye

Staring me beginners ko apne website blog ke liye web hosting buy karna thoda muskil ho sakta hai. Kyunki aj ke samay me bahut sari web hosting companies hai jinme se best web hosting provider company ko select karne me pareshani ati hai, So mai aapko kuch aesi important bate bataunga jinhe aapko web hosting service buy karte samay dhyan me rakhna chahiye.

  1. Customer support: Web hosting buy karne se pahle ye jarur check kare ki us web hosting company ka customer support kaise hai. Aesi company ko select kare jo 24×7 customer support service provide kare.
  2. Speed: Hosting server ki speed achi or fast honi chahiye.
  3. Backup and Recovery: Aapke data ko secure rakhne ke liye aapki website data ka backup ki subhidha deti ho.
  4. Uptime:  Aap aesi company se web hosting buy kare jo 99.9% uptime deti ho.
  5. Money Back Guarantee: Aesi company se hosting buy kare jo money back guarantee offer karti ho, Jisse ki hosting buy karne ke baad agar aapko unki service achi nhi lagti to aap apne paise return le sake.
  6. Aap jis bhi company se hosting buy kar rahe hai pahle us company ke bare me ache se jan le ki wo company kitni purani or kitni bharoshemand hai, Jisse ki aapka data secure rahe.

Top 5 Best Web Hosting Companies In India

Jaise ki mene upar bataya tha ki aj ke samay me bahut sari web hosting provider companies hai jo apne aap ko best web hosting service provider batati hai, Lekin sari sahi nahi hoti, So yaha is post me mai top 5 best web hosting companies in india ke bare me bata raha hun.

Yah sabhi web hosting companies bahut hi popular or bharosemand hai, In web hosting companies ki hosting bade bade blogger apne blog ke liye use karte hai or in companies ki sabse achi bat ye hai ki yah sabhi money back guarantee deti hai jisse ki agar aapko inki service achi nhi lagti to aap apne paiso ko wapas le sakte hai.

1. Hostgator (Get up to 60% Off )

hostgator hosting offer 2020

  • Avg. Uptime: >99.9%
  • Avg. Speed: 425 ms
  • Support: 24/7 live chat, phone

Aj ke date me hostgator top web hosting services provide karne wali companies me se ek hai.

Hostgator ek aesi web hosting company hai jo ki apne quality, customer support or best web hosting provider services ke liye india me hi nahi pure world me famous hai. Bade bade famous blogger bhi is company ki services use karna pasand karte hai, Sayad hi aesa koi blogger hoga jo hostgator ke bare me nahi janta hai.

Hostgator ki sabse achi bat ye hai ki agar aap hostgator se hosting buy karte hai uske baad agar aapko inki service achi nahi lagti hai to ye aapko 45 days money-back guarantee offer deti hai. Or iska customer support bhi bahut acha or 24×7 rahta hai, aapki web hosting se related koi bhi problem ko ye turant se solve kar dete hai, or isme aap apne language hindi me bhi bat kar sakte hai.

Hostgator sabhi tarh ki web hosting jaise Share hosting, Reseller hosting, VPS hosting, Cloud hosting, Dedicated servers etc ache price me offer karta hai.

Agar aap blog website create karna chahte hai or aap beginner hai to aap hostgator ke Baby plan ko select kar sakte hai. Yah beginners ke liye sabse acha plan hai. Hostgator me aapko kam price me best web hosting mil jayegi.

Hostgator samay samay par ache ache discount lata hai jinka aap labh udha sakte hai abhi hostgator me Up to 60% Off ka offer chal rah hai.

For more information visit Hostgaror.in

2. Bluehost

bluehost hosting offer 2020

  • Avg. Uptime: 99.98%
  • Avg. Speed: <400ms
  • Support: 5/5

Bluehost bhi hostgator ki tarh ek bahut hi famous web hosting company hai. Inki quality or customer support bhi ek jaisa hai. Bluehost pure world me kaphi popular or bharoshemand web hosting provider company hai.

Isme 30 day money-back guarantee hota hai, Bluehost se hosting buy karne ke baad agar aapko inki hosting service pasand nahi ati hai to aap 30 days tak apne pure paise wapas le sakte hai.

Bluhost me aapko ache price me achi web hosting plan mil jate hai, Isme aapko har tarh ke hosting plan mil jayenge.

Agar aap apni website blog start karna chahte hai to mai aapko hostgator ya bluehost ki hosting lene ke liye suggest karunga kyunki ye dono companies top web hosting providers company me ati hai or inka customer support bhi bahut acha hai. Agar aapko hosting se related ko bhi problem ati hai to inki tech support team turant se aapki us problem ko solve kar deti hai.

For more information visit Bluehost.com

3. Hostinger

hostinger offer

  • Avg. Uptime: >99.9%
  • Support: 24/7 live chat, phone

Yah company apni services or ache price plan ke karan india me bahut famous ban gayi hai. Isme apko har tarh ke plan jaise ki Share hosting, Cloud hosting, Reseller hosting, Dedicated servers, etc ache price me mil jate hai.

Isme bhi aapko 30 days money back guarantee milta hai. Iska customer support 24×7 rahta hai or yaha par aap apne hindi language me bhi support le sakte hai.

Yah company samay samay par ache offer or discount lati rahti hai, Agar aap kam budget me achi hosting service search kar rahe hai to reseller club aapke liye best rahega.

For more information visit Hostinger.com

4. A2 Hosting

  • Avg. Uptime: >99.93%
  • Avg. Speed: 282 ms
  • Support: 24/7 live chat, phone

A2 hosting bhi ek bahut hi achi web hosting provider company hai. Yah bhi Share hosting, Dedicated  hosting, VPS hosting, Reseller hosting etc provide karti hai. Yah apne customer ko km price me quality services provide karti hai.

Inka customers support bhi bahut acha hai yaha par aap live chat, calls support, tickets ke dwara apne hosting se related problem ko solve kar sakte hai.

A2 hosting ki sabse achi bat yeh hai ki hosting lene ke baad agar aapko inki services achi nahi lagti hai to yah anytime money back guarantee deti hai.

For more information visit A2 Hosting

5. GoDaddy

godaddy hosting offer

  • Avg. Uptime: >99.97%
  • Avg. Speed: 517 ms
  • Support: 24/7 live chat, phone

GoDaddy waise to ye Domain name ke liye bahut hi popular hai, But kuch salo se ye apni web hosting services bhi provide karne lagi hai or apne web hosting or quality customer support ke karan yah top web hosting companies me se ek ban gayi hai.

Godaddy customer support multiple Indian languages ko support karta hai or 24×7 call support rahta hai.

Godaddy par aapko ache price me achi hosting mil jati hai jo ki fast or secure hoti hai. Yaha par aapko apne chote bade business ke liye sabhi prakar ki hosting mil jayegi.

Godaddy ki sabse achi bat ye hai ki aap godaddy se 1 month free trail web hosting bhi le sakte hai.

For more information visit Godaddy

Suggestion: Agar aap ek blogger hai ya blog website banane ki soch rahe hai to aap ek achi web hosting company ki hi hosting buy kare, free aur bekar ki hosting companies ki hosting ka use na kare, kisi bhi website blog ke liye web hosting kitna important hai ye to aap sabhi jante hi honge. Aapke website ki web hosting par hi aapke website blog ki load timing depend karti hai. So aap apne website blog ke liye hosting ek achi web hosting company se hi buy kare. Upar bataye sabhi web hosting companies bahut hi popular aur trusted hai, In site me aapko cheap price me hosting plan mil jayenge.

To ye the top 5 best web hosting companies in india. Agar apko is post se related koi bhi doubt ya in web hosting sites se hosting buy karne me kisi bhi tarh ki koi problem ati hai to aap niche comment me puch sakte hai.

Leave a Comment